Saturday, October 09, 2010

Jaane kyu..

Jane kyun wo saanso ki dor tootney nahi deta,
Bas do kadam aur chalne ka waasta de kar mujhe rukney nahi deta,

Baat kehta hai wo mujh se hans hans kar jee lene ki
Ajeeb shakhs hai wo mujh ko chain se roney nahi deta,

Aaj hausla deta hai mujhe chand sitaron ko chhoo lene ka

Wo pyara sa chehra mujhe toot kar bikharney nahi deta,

Sshayad jaanta hai wo in ankhon mai aansoon ka sailaab hai
Jane kyun phir bhi wo in aansoon ko girney nahi deta,

Mujh se kehta hai " main mar jaunga tumhare bina"
Main zinda hoon ab tak to wo mujhe marney nahi deta...

No comments:

Post a Comment